Friday, 24 April 2015

islamiatenotesfor11thclass

Islamic Question Answer

Monday, November 23, 2009

Miscellaneous Question

Question : 

Momin Aur Musalman Main Kya Fark Hai

Answer :

13 Sadi Kay Mujadid Imam Rabani Mujadid Alif Sani Alehay Rehma Say Kisi Nay Poch Kay Momin Aur Musalmaan Main Kiya Faraq Hey Aap Nay Farmay Jo Islam Main Dakhil Hojaye Woh Musalman Kehlata Hey Aur Momin Woh Hey Jiskay Dil Main Islam Dakhil Hojaye.


Question :


Any References From Quran & Hadiths That Yazeed Is Kafir/Nonmuslim...?

Answer :

Musanif Bhare-E-Shariat Allama Moulana Mohammad Amjad Ali Azami Alheay Rehma Yazeed Kay Barya Main Farmatay Hain Kay Yazeed Paleed,Fasiq,Fajir Aur Kabera Kabira Gunahoon Main Mulawis Tha Haan Yazee Ko Kafir Khanay Aur Is Par Lanat Karnay Main Ulmaye Ahlesunnat Kay 3 Koal Hain.

1.Imam Azam Abu Hanifa Khamoshi Ikhtiyaar Farmatay Hain. Kay Yazeed Ko Na Kafir Kha Jaye Na Musalmaan Haan Usay Fasik O Fajir Kahaingay.

2.Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Fazil-E-Barelvi Alheay Rehma Farmatay Hain Kay Yazeed Ko Agar Koi Kafir Kahey Tu Hum Mana Nahi Kariangay Aur Khud Na Khaingay.
(Al Malfuza Hisa Awal Page 114)

Result:
Hum Alhamdullilah Hanafi Hain Lihaza Hum Bhi Yazeed Ko Na Kafir Kahaingay Nay Musalmaan. Fasiq-O-Fajir Aur Zalim Samjhaingay.

Question : 

Some One Prove That Yazeed Ibn Maviya Will Return To Jannat After Get Punishment, Is That True Justify With Ayaats & Ahdiths With References.

Answer : 

Yazeed Say Mutalik Hadith Main Muzammat Hadith: "Hazrat Ubeed Bin Jarah Famatay Hain Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Nay Irshad Farmaya May Meri Ummat Ka Mamla Adal Wa Insaaf Par Qaim Raheyga Yahan Tak Kay Rukhna Andazi Karnay Wala Pehal Shaks Bani Umaya Say Hoga Aur Name Uska Yazeed Hoga"
(Majmooa Al Zawaid Jild 5 Page 241) (Lissan Almeezan Jild 6 Page 294) (Tariq Al Khulfa Page 142) 

Hadith:

"Muhadis Royani Nay Apni Masnad Main Hazrat Abu Dwaood Radi Allah Anhu Say Riyaat Ki Hey Kay Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Nay Farmaya Meray Tarekay Ko Badalnay Wala Saab Say Pehla Shaks Nabi Umaya Say Hey Aur Name Us Ka Yazeed Hoga"
(Tareek Al Khulfa Page 142) (Sawah Muharaka Ibne Hajar Makki Page 219)

Yazzed Kay Mutaliq Ulmaye Islam Kay Aqwal: 1. Hazrat Abu Bureza Aslami Radi Allah Anhu Farmtay Hain Kay Jab Imam Hussain Radi Allah Ka Sare Mubarak Yazee Dkay Samnnay Rakha Gaya To Yazeed Apni Chahri Imam Hussain Kay Laboon Par Marnay Laga.
(Tareeq Tabri Jild 5 Page 465)

2.Imam Ibne Hajar Askalani Alheay Rehma Likhtay Hain Kay Kisi Nay Hazrat Umer Bin Abdul Aziz Radi Allah Anhu Kay Darbar Main Yazeed Ko Ameer Ul Momeneen Kaha Apnay Us Ko 20 Koroon Ki Saza Di (Tahzeeb Ul Tehzeem Jild 11 Page 361) 


3.Allam Zehbi Alehay Rehma Farmatay Hain Kay Yazeed Ek Mayoob Insaan Tha Woh Is Kabil Nahi Tha Kay Ussay Riwayaat Li Jati.
(Mezanul Ietadal Jild 4 Page 440)


4.Imam Gazali Farmatay Hain Kay Imam Hussain Katil Aur Apkay Katal Ka Hukum Dainay Walay Par Allah Ki Lanat Ho.
(Aehaya Ul Uloom Jild 3 Page 122)

Question : 

Assalam-U-Alaikum Allama Sahab 1 Sms Receive Huwa Tha, Iss Hawalay Say Irshaad Farmayen. "Aik Sahabi Ne Aap Sallallahu Alaih Wa'aalehe Wasallam Se Arz Kiya: Ya Rasool Allah Sallallahu Aleyhi Wasallam . Humne Aap Ko Dekha, Aap Se Baat Ki, Aor Aap Ke Saath Khana Khaya. Kiya Humse Bhi Ziyada Khushnasib Koi Hoga Is Dunya Me? Aap Sallallahu Aleyhi Wasallam Ne Farmaya: Tumne Mujhe Dekha Aor Suna To Iman Laey. Meri Aane Wali Ummat, Jo Mujhe Bina Dekhe, Bina Suney, Mujhpe Imaan Laeygi. Wo Tumse Kahein Ziyada Khushnasib Hogi." Kya Yeh Sahih Hay?

Answer :

Muhtaram Zubair Sahab Apki Bayan Karda Hadith Bilkul Sahi Hey Khush Naseeb Hamain Isliye Karar Diya Gaya Kay Hum Bagair Dekhay Imaan Laye. Halankay Sahaba Karam Say Bara Makam Is Ummat Main Kisi Ka Nahi.

Question : 

Assalam Wa Alaikum!Hazrat Mera Sawal Bohat Aham Hai.Agar Jamat E Haq Mein Do Ameer Houn To Kis Ameer Ki Ataat Karna Wajib Hai.Jaisa K Jamat E Ahlesunnat Mein Aik Shah Sahab Aur Dosre Hazrat Sahab.

Answer : 

Jo Jis Jammat Say Tauluk Rakhta Ho Woh Us Jammat Kay Ameer Ki Ataat Karega. Hazrat Allama Moolana Syed Shah Turabul Hag Qadri Sahab Jamate Ahelsunnat Kay Ameer Hain. Lihaza Jo Inki Tanzeem Jamate Ahelsunnat Say Wabista Hain Woh Inki Ataat Karingay. Hazrat Allama Moulana Mohammad Ilyas Attar Qadri Sahab Dawate Islami Kay Ameer Hain Lihaza Jo Dawate Islami Say Tauluk Rakhnay Walay Unki Ataat Karaingay. Yaad Rahay Ap Kisi Bhi Sunni Tanzeem Say Wabista Hoon Magar Aehtaraam Haar Alim-E-Deen Ka Hum Par Zaroori Hey.

Question :

Salam I want to ask about incarnation

Answer : 

Islami Aqaid May Yay Baat Mojud Hai K Muslims Ka Aik Janam Hota Hai Mout Kay Baad Usay Qabar Dubara Zinda Kya Jata Hai Phir Us Kay Baad Qayamat Kay Din Uthaya Jaey Ga Aur Rab Kay Hukum Par Wo Jannati Hai To Jannat May Aur Jahanumi Hai To Jahanum May Hamesha Rahay Ga. Saat(7) Janam Ka Aqida Kufar-O-Mushreekin Ka Hai Muslims Ko Aisi Baat Karnay Say Bhi Parhaiz Karna Chaheyay.

Question :

Biradar Assalam wa Alaikum, Aaurton ka Qabr (MAZARAT) par jaana kahan tak durusta hai ? - riyazAHMED. Ojhar, Nasik (INDIA
Answer : 

Aurtoon K Mazrat Par Janay Kay Mutaliq Ulma-E-Karam May Ikhtilaf Hai Baaz Ulma Farmatay Hain Kay
Aurat Bapardah Mazar Par Hazri Day Sakti Hai Magar Chodvi(14) Sadi Kay Mujadid Imam Ahmed Raza Khan Barelvi Aleh-E-Rehma Aurton Ka Mazart Par Jana Najaiz Qarar Daitay Hain Is Par Ap Nay Puri Kitab Tehreer Farmai Hai Jis Ka Name "Aurton Ki Mazarat Par Hazri" Hai Zaroor Mutala Farmae.

Question :

ASSALAM-U-ALAIKUM HUZOOR Irshaad farmayen, neutral logon ko kiss tarah AHL-E-SUNNAT k he sahih honay ka qaay'eel kia jaaye? jab k aaj muaamlah yeh hay k jiss na nazariyah pehlay suna, wohi nazariyah apna liya jata hay, ASLAAF key kutub mayn bad mazhabon nay tahreefaat kerni shuru ker dee hayn, k UNN say bhi suboot dayna ho tou tahreef say khaali purani kutub her kissi ko muyassar nahin aateen, aur jo hoti hayn tou apnay Makatib key. Kiss tarah k Aqli o Naqli suboot deye jaayen k neutral Musalmaan HAQ Qubool ker lay, JAZAK ALLAH. FI AMAN ALLAH ASSALAM-U-ALAIKUM
Answer :

Neutral Logon Ko Sub Say Pehlay Inka Zehan Banany Kay Lyay Quran-O-Hadees Par Mubni
Aqaid-E-Ahle-Sunaat Par Kitab Dain. Log Islaf Ki Kitabon Aur In Ki Baton Ka Inkaar Karaingay Magar
Quran-O-Hadith Ka Koi Shaks Inkaar Ni Karay Ga. Aqaid-E-Ahl-E-Sunaat Ki Darj Zail Kitabain Tohfain May Dain Un Ka Zehan Banay Ga.

1:     Ja-Ul-Haq(Mufti Ahmed Khan Yar Naemi)

2:     Ziya-Ul-Hadees(Alama Syed Shah Turabul Haq Qadri)

3:     Sarat-Ul-Ibrar(Majallid) (Maulan Muhammad Shahzad Qadri Turabi)

Yay Tamam Kitabain Ziya-U-Din Publisher Shaheed Masjid Kharadar Karachi Kay
Address Par Mil Jaengi.

Monday, October 19, 2009

Waseela Mangna Kesa he?

content="Word.Document" name="ProgId">

HOLY PROPHET (SALLAL LAAHU ALAIHI 

WASALLAM)

Question :
Answer : 
Gher Allah Ka Waseela Talab Karna Or Us Key Waseeley Se Allah Ki Bargah Main Iltijaa Kerna Jayez Hey Or Ye Hukum Rabbay Kareem Ne Dya He
Al Quran : 
"Aye Iman Walo ! Allah Se Daro Or Us Ki Teref Waseela Dhundo"
(Soora Maida , Ayat 350 )
Alquran : 
"Or Is Se Pahlay Woh Is Nabi Peace Be Upon Him Key Waseeley Se Kafiron Per Fatah Mahngtay They"
(Soora Baqarah , Ayat 89) 
Al Hadees : 
"Hazrat Usman Bin Hanif Ko Hazoor Peace Be Upon Him Ne Ye Dua Mangnay Ka Hukum Dya (Aye Allah! Main Tere Nabi Key Waseela Jaleela Se Teri Teref Tawajja Karta Hun Ya Rasool Allah Main Aap Key Waseelay Se Apnay Rab Ki Teref Apni Hajat Ke Barey Main Muwajja Hun Takay Woh Poori Ho Jay , Ya Allah Tu Mere Barey Main Hazoor Peace Be Upon Him Ki Shafaat Qabool Ferma)"
"Tirmizi Sharif , Jild Awal , Abwabuddawa, Hadil # 1504 , Page 653 , Farid Book Lahore"
Question :
Answer :
Gher Allah Ka Waseela Talab Karna Or Us Key Waseeley Se Allah Ki Bargah Main Iltijaa Kerna Jayez Hey Or Ye Hukum Rabbay Kareem Ne Dya He
AlvQuran : 
"Aye Iman Walo ! Allah Se Daro Or Us Ki Teref Waseela Dhundo"
(Soora Maida , Ayat 350) 
Al Quran : 
"Or Is Se Pahlay Woh Is Nabi Peace Be Upon Him Key Waseeley Se Kafiron Per Fatah Mahngtay They"
( Soora Baqarah , Ayat 89)
Al Hadees : 
Hazrat Usman Bin Hanif Ko Hazoor Peace Be Upon Him Ne Ye Dua Mangnay Ka Hukum Dya (Aye Allah! Main Tere Nabi Key Waseela Jaleela Se Teri Teref Tawajja Karta Hun Ya Rasool Allah Main Aap Key Waseelay Se Apnay Rab Ki Teref Apni Hajat Ke Barey Main Muwajja Hun Takay Woh Poori Ho Jay , Ya Allah Tu Mere Barey Main Hazoor Peace Be Upon Him Ki Shafaat Qabool Ferma)
"Tirmizi Sharif , Jild Awal , Abwabuddawa, Hadil # 1504 , Page 653 , Farid Book Lahore"
Question : 
Answer :
Shares Key Business Ko Ulmaa Ahlesunnat Najayez Qarar Detey Hain Lihaza Is Key Kaam Se Bachna Chahye Or Is Per Tafseeli Book " Shares Ki Sharayee Hasiat" Dr.Noor Ahmad Shahtaz Ki Book Mulahiza Fermayen
Question :
 Answer : 
Waseela Mangna Jayez Balkay Allah Tala Ka Hukum Jesa Key
Question #2 
Key Jawab Main Bataya Gaya , Hazoor Peace Be Upon Him Or Tamam Anbiya Karam Noor Key Pekar Hain Or In Ki Asal Noor Hey , Magar Woh Is Dunya Main Bashri Libaday Main Tashreef Laye , Hazoor Peace Be Upon Him Key Noor Honay Key Mutaliq , Quran Majeed Main Jaga Jaga Irshad Hey?
Al Quran : 
"Beshak Tumharey Pas Allah Ki Teref Se Aik Noor Aya"
(Soora Maida ,Ayat 15 , Para 6) 
Al-Quran : 
"Or Hum Ne Tumhari Teref Roshan Noor Utara Al Quran : Kuffar Chahtay Hain Key Allah Ka Noor Apnay Mun Se Bujha Deen Or Allah Na Manay Ga Magar Apnay Noor Ko Poora Karna Parhey Bura Manay Kafir"
(Soora Toba , Ayat 32 , Para 10)
Hadith :
"Huzoor Peace Be Upon Him Irshad Fermatay Hain Key Sab Se Pahlay Allah Tala Ney Mere Noor Ko Peda farmaya"
(Tafseer Rohulbayan , Jild 2, Page 191 , Madraj Al Naboot Jild 2)
Question :
Hum Saudi Arab Me Hei Yaha Waseela Ko Kuch Log Nahi Mante Or Kehte Hei Ye Galat Hei Quran Ki Roshni Me Kuch Bataye Please Your Bro///Madani?
Answer :
Gher Allah Ka Waseela Talab Karna Or Us Key Waseeley Se Allah Ki Bargah Main Iltijaa Kerna Jayez Hey Or Ye Hukum Rabbay Kareem Ne Dya He

Al Quran : 

Aye Iman Walo ! Allah Se Daro Or Us Ki Teref Waseela Dhundo
(Soora Maida , Ayat 350)

Al Quran : 

"Or Is Se Pahlay Woh Is Nabi Peace Be Upon Him Key Waseeley Se Kafiron Per Fatah Mahngtay They"

(Soora Baqarah , Ayat 89)

Al Hadees :

"Hazrat Usman Bin Hanif Ko Hazoor Peace Be Upon Him Ne Ye Dua Mangnay Ka Hukum Dya (Aye Allah! Main Tere Nabi Key Waseela Jaleela Se Teri Teref Tawajja Karta Hun Ya Rasool Allah Main Aap Key Waseelay Se Apnay Rab Ki Teref Apni Hajat Ke Barey Main Muwajja Hun Takay Woh Poori Ho Jay , Ya Allah Tu Mere Barey Main Hazoor Peace Be Upon Him Ki Shafaat Qabool Ferma) "

Tirmizi Sharif , Jild Awal , Abwabuddawa, Hadil # 1504 , Page 653 , Farid Book Lahore

Thursday, October 15, 2009

Tauheed Aur Shirk

Question:

Tauheed Kya Hai Aur Is Ke Aqsaam Aand Shirk Kya Hai Aur Is Ke Aqsaam Bataiye?

Answer:

Allah Tala Ki Wahdaniyat Per Iman Rakhna Or Us K Sath Ksi Ka Sahreek Na Thahrana Toheed He, Shirk Ki Tareef Bayan Kartay Huwe Imam Taftaazani Apni Kitab Shara Aqayed Nasfi Main Fermatay Hain Ksi Ko Shareek Thahranay Se Murad Ye He K Majoosyon Ki Tarah Ksi Ko Allah (Khuda) Or Wajid Ul Wajood Samjha Jay Ya But Paraston Ki Tarah Ksi Ko Ibadat K Layeq Samjha Jay , Shareek Ki Tareef Se Maslooom Huwa K Do Khudaon Kay Mannay Walay Jesey Majoosi ( Aag Parast) Mushrik Hain Isi Tarah Ksi Ko Khuda K Siwa Ibadat Ke Layq Samajhnay Wala Mushrik Hoga Jesey But Parast Jo Buton Ko Mustahiq E Ibadat Samajhtay Hain.

Shirk Ki Aqsaam

Shirk Fil Ibadat

Shirk Fil Ibadat Se Murad He K Allah Tala Ke Ilawa Ksi Or Ko Mustahiq E Ibadat Samjha Jay.

Shirk Fil Zaat

Is Se Murad He K Ksi Zaat Ko Allah Tala Jesa Manna Jesa Key Majoosi Do Khudaon Ko Mantay Hain.

Shirk Fil Sifat

Ksi Zaat Wa Shakhsiyat Waghera Main Allah Tala Jesi Sifat Manna Shirk Fil Sifat Kahlata He.

Question:

What Is The Shar-Ee Definition Of Shirk As Per The Kitabs Of Ahlussunna,Please Give Reference Along With Author?

Answer:

Toheed Or Shirk Par Taweel Mutalay K Lye Ap Ye Kitabeyn Zaroor Parhen.

Name : Toheed Or Shirk
Writer : Allama Syed Saeed Ahmed Kazmi

Name : Shirk Ki Haqeeqat,
Writer : Mufti Muhammad Asif Abdullah Qadri

Ye Dono Kitabain Ap Ko Maktaba Al Madina Bahare Shareeat Masjid Bahadurabad Karachi Se Ba Asani Mil Jayenge.
    

Tuesday, October 13, 2009

Halal or Haram


Question :
Answer :
Mojuda Islamic Bankari Main Ulmaa Ka Ikhtilaaf He Lakin Muftiyaan E Karam Ki Bhari Aksariyat Mojuoda Islamic Bankari Ko Najayez Qarar Deti He Kyun K Is Nizam Ko Kuch Zahiri Raddo Badal Ke Sath Islamic Benkari K Naam Se Chispa Kar K Awam Main Phelaya Gaya He , Jahan Tuk Meezan Bank Ka Taluq He To Is Kay Bani Mufti Muhammad Taqi Usmani Hain Jo Ke Ab Apnay Betey Ko Bara Bana Ker Khud Farigh Ho Chukay Hain Ye Sab Muftiyaan E Karam K Eterezat Ke Baad Huwa , Agar Islamic Bankari Sahi Thi To Ulmaa K Eterazaat Per Mufti Taqi Usmani Peechey Kyun Hate, Ahtiyaat Is Main He K Is Qisam K Kaam Se Bacha Jay Takay Sood Ki Nahoosat Hum Per Nazil Na Ho.


Question: 

ASSALAM-U-ALAIKUM ALLAMA SAHAB Are we allow to invest in Dawood Islamic Bank's "Smart Saving Account", "Khushhal Saving Plan", "Tahaffuz Savings Account" and their etc Musharkah & Mudarbah account? MUFTI MUNEEB and some more SUNNI SCHOLARS are in their SHARI'AH Advisors, JAZAK ALLAH. FI AMAN ALLAH ASSALAM-U-ALAIKUM

Answer:

Dawood Islamic Bank Kay Smart Saving Account, Khushaal Saving Plan Aur Tahaffuz Saving Acounts Kay Broucher Hmain Mail Karain Takay Hum Is Ka Mukamal Tareka Kar Parh Kar Sahrai Hukum Laga Sakain.


Question: 

Mutul fund me kam karna sahi hai ya galat

Answer:

Mutual Fund Kay Barya Main Hamian Mukamal Malumaat Mail karain Takay Jawab Diya Ja Sakay.


Question:

kfc , pizza hut . mc donald ye halal he ya haram he zara rehnomai farma deijye

Answer:

Pizza, Mc Donald Aur Kfc In Kay Yahaan Khanay Ki Chezain Mashkook Hoti Hain Lihaza Mashkook Ashiya Khanay Say Parhaiz Kiya Jaye. Mola Ali Farmatay Hain: "Jo Cheez Shak Main Daal Day Usay Chor Do"


Question :

Assalam-U-Alaikum Allama Sahab Artificial Jewellery K Isti'maal Aur Issay Pehan K Namaz Ada Kernay Ka Mard O Aurat K Leye Kya Hukm Hay? Jazak Allah.

Answer :

Mard Kay Liye Sirf Ek Ring Chandi Ki Jo Kay Sawa Cahr(4 1/4) Gram Kay Wazan Ki Ho Aur Uss Main Ek Nagena Ho Pehan Sakta Hey Iskay Ilwa Kisi Bhi Kisam Ka Zewar Kisi Bhi Dhaat Ka Zewar Mard Kay Liye Najaiz Hey Agar Woh Ussay Pehan Kar Namaz Parhega Tu Namaz Nahin Hogi. Aurat Kay Artifical Jwellery Main Meta Loha Jis Main Istemal Hota Hey Is Kay Pehnnay Ki Mumaniyat Hey Lihaza Aam Toor Par Bhi Na Pehnay Aur Halat-E-Namaz Main Tu Bohat Zyada Ehtiyaat Bartain.

Question:

islamic banking haram he ya halal he? reply soon

Answer:

Islamic Banking May Ulma Ka Ikhtilaf Hai. Ulma-E-Ahl-E-Sunnat Mufti Muneeb-Ur-Rehman Sahab,Mufti Abu Bkr Sidique Sahab, Aur Alama Sabir Amjadi Sahab Islamic Banking Ko Ja'iz Qarar Daitay Hain Mazeed Information Kay K Lyay Un Kay Mobile Par Phone Kar Kay Detail Ap Khud Talab Kar Saktay Hain.Mobile Number Note Kar Lain

Shiekh Alhadees Mufti Abu Bkr     (Faisal Islamic Bank) (0300-2171063) 
Mufti Muneeb-Ur-Rehman         (Dawood Islamic Bank) (0321-2022000)
 

Saturday, October 10, 2009

Hajj Namaz Roza Qurbani

Question :

Answer :

Halat-E-Namaz Minan Shalwar Ko Khurasna, Paint Ko Nechay Say Fold Karna Aur Trouser Fould Karna Namaz Ko Makrooh Kardeta Hey. Hadith Refrence:  

Al-Hadith: 

"Hazrta Ibne Abbass Radi Allah Anhu Say Marvi Hey Kay Huzor Sallal Laho Alehay Wasalam Farmatay Hain Kay Mujhay Hukum Howa Kay Saat(Seven) Hadiyoon(Bones) Par Sajda Karun.(Munh(Face) Aur Donoon Hath(Both Hands) Aur Dunoon Khudnoon(Knee) Aur Dunoon Panjay(Feet)) Aur Yeah Hukum Howa Kay Kapray Aur Baal(Hair) Na Morun"

(Bukhari,Musulim,Tarmazi)
     
Question : 


Answer :

Walikum Salam, Ap Ki Mannat Yehi Thi Lihaza Ap Ko Bakra Zibah Kerwa Ker Hi Us Ka Gosht Taqseem Karna Hoga.

Question :


Answer :
Mard Or Orat Ki Namaz Main Farq He.

>>1

Mard - Takbeere Tahreema K Waqt Apnay Dono Hathon Ko Kano Tuk Uthaye
Aurat - Takbeere Tahreema K Waqt Apnay Dono Hathon Ko Seeney Tuk Uthay

>>2

Mard - Qayam K Waqt Apnay Hathon Ko Naaf K Neechey Bandhay
Aurat- Qayam K Waqt Apnay Hathon Ko Seeney Per Bandhey

>>3

Mard - Sajday Main Apnay Jism Ko Khula Rakhay
Aurat - Sajday Main Apnay Jism Ko Samait Kar Rakhay

>>4

Mard - Mard Qayeda Main Apnay Seedhey Paun Ko Kharha Rakhay
Aurat - Qayeday Main Apnay Seedhey Paun Ko Bicha Ker Rakhay

Question :


Answer :

Allah Tala Se Dua Mangi Jati He Jab K Bargahe Risalat Main Sirf Arz Ki Ja Sakti He . Dua Faqat Allah Tala Se Hi Mangi Ja Sakti He Han Albatta Dua Main Waseela Paish Kya Ja Sakta He.


Question :


Answer :

Agar Soora Fatiha Parhna Bhool Jayen Or Salam Phernay Se Pahlay Yaad Ajay To Foren Sajda Saho Karlain Namaz Ada Ho Jaye Gi.

Question:

ASSALAM-U-ALAIKUM ALLAMA SAHAB A question is "I want to know one problem about Namaz e Qasr. a person has job in karachi. while his permanent residence is in hyderabad. He, almost every weekend, return back to hyderabad... so his stay in karachi is less than 15 days. But the company can ask him to come to office even in weekends as well (Sunday n Saturday). but despite of this the total stay since his joining from last year, is less than 15 days. What are Islamic Orders about namaz e Qasr." JAZAK ALLAH. FI AMAN ALLAH ASSALAM-U-ALAIKUM

Answer:

Woh Shaks Karachi Main 15 Din Say Kam Rukta Hey Tu Aisa Shaks Karachi Main Kasar Namaz Parheyga Agar Bajamaat Parhey To Puri Namaz Parhey Ga.

Question:

Assalamualaikum!! If a woman takes face treatment(facial)during her roza so,can she take steam during treatment from upward direction???Will this steam(from upward direction)effect her roza or not??

Answer:

Halat Roza Main Bhaap Lenay Say Roza Tooth Jayega Kyunkay Bhaap Letay Waqt Duhaan(Steam Or Smoke) Ko Kasdaan Khencha Jat Ahey.

Question:

Assalam u alaikum!!well thx 4 replying,but me yeh puchna chah rhi thi k agar koi shaks namaz me surah faatiha parhna bhul gaya,eb dono taraf salam phairnay k baad usay yaad aya k us ne surah fatiha nhi parhi,to kia woh eb sajd e sehaw ada kersakta hay???

Answer:

Agar Aap 4 Farz Ada Kar Rahi Thin Aur Suhrooh Ki 2 Rakatoon Main Say Kisi Ek Main Surah Fatiha Parhna Bhool Gain Aur Salam Pheer Diya Tu Apko 4 Farz Dubara Lotana Hongay Kyunkay Surah Fatiha Wajib Thi Aur Agar Farz Ki Akhri 2 Rakatoon Main Surah Fatiha Parhan Wajib Nahi Sirf 3 Subhanallah Ki Mikdaar Khamoosh Khari Reh Kar Rukooh Main Cahali Jain Namaz Ada Hojaye Gi. Isi Tarhan 2 Sunnat Muakida Wagira(Etc), 4 Sunnat Muakida Wagira(Etc) Muakida Yah Nafal Main Say Kisi Namaz Main Surah Fatiha Bhool Gaye Tu Namaz Dubara Lotana Hogi Sajda-E-Saho Say Izala mumkin Nahin.

Question:

13-11-2009 Jum`aa Assalam wa Alaikum, Dauran e Tawwaf Hateem se guzarna to Haraam hai, lekeen kya dauran e Tawwaf Hateem se bahar nikalne ki jagah se andar jakar Namaz wa Duaa adaa kar ke usee jagah se bahar aakar Tawaf pura kar sakte hai ? ALHAMDULILLAH Mai 2006 mein Hajj par gaya tha, kisi ke kahne par ke `guzarna to Haraam hai par HAteem se bahar nikalne wale raste se andar aakar wapas wahise bahar aane se koi harj nahi` maine kai martaba aisa hee kiya. Agar ye galat hai to ab kya kiya jaye. Baraye karam jald az jald Islah farmaye. Ain nawazish hogi. JAZAAKALLAH KHAIR. - riyazAHMED. OJHAR, NASHIK - M.S. (INDIA).
Answer:

Tawaf Kartay Howay Hateem Say Guzarna Haram Nahi Hai Balkay Wo Tawaak Ka Chakar Dubara Lotana Hoga.Lihaza Hateem May Doranay Tawaaf Na Jaen Warna Wo Chakar Dubara Say Start Karna Hoga. 

Wednesday, October 7, 2009

I'lm-e-Gaib - Knowledge of Unseen

Question:



Answer :


Rozay Ki Halat Main Tooth Past Ka Istimaal Mamnoo He Kyun Ke Ghalib Gumaan He K Is K Bareek Ajza Halaq Se Neechey Uter Jatay Hain Jis Se Roza Toot Jata He Lihaza Ap Sahri Se Pahlay Or Aftari K Baad Tooth Past Kar Lain , Rozay Ki Halat Main Miswak Istimaal Karen. 


Question:


Answer:


Ahlesunnat Wal Jamat Ka Ye Aqeeda He K Allah Tala Ne Apnay Mahboob Peace Be Upon Him Or Anbya Kram Ko Ilm-E-Ghaib Ata Fermaya He, Ilm-E-Gaib Ka Matlab He Woh Baat Jo Sirf Allah Tala Janta Ho Phir Is Per Apnay Mahboob Bandon Ko Mutalla Kerde Is Se Murad Ainda Ke Halat Ki Khabren Dena Bhee He.

Al Quran :

Allah Ki Shan Nahi Hey K Aye Aam Logon ! Tumhain Ilm E Ghaib Ata Kare , Haan Allah Chun Leta He Apnay Rasoolon Se Jisay Chahay.
( Al-Imran , Ayat 179 , Para 4 )
Al Quran : 
Ghaib Ka Jannay Wala Apnay Ghaib Per Sirf Apnay Saoolon Hi Ko Agah Fermata He Her Ksi Ko Ye Ilm Nai Deta.
( Soora Jin , Para 29 , Ayat 26/27)
Al Quran : 
Or Ye Nabi Ghaib Batanay Main Bakhel Nahi.

( Soora Takweer , Para 30 , Ayat 24) 
Al Quran :
Aye Mahboob Peace Be Upn Him Ye Ghaib Ki Khabren Hain Hum Tumharey Teref Wahi Kartay Hain.
( Soora Hood , Ayat 9 , Para 12)


Question : 


Answer : 
Ahlesunnat Wal Jamat Ka Ye Aqeeda He K Allah Tala Ne Apnay Mahboob Peace Be Upon Him Or Anbya Kram Ko Ilm-E-Ghaib Ata Fermaya He, Ilm-E-Gaib Ka Matlab He Woh Baat Jo Sirf Allah Tala Janta Ho Phir Is Per Apnay Mahboob Bandon Ko Mutalla Kerde Is Se Murad Ainda Ke Halat Ki Khabren Dena Bhee He.
Al Quran : 
Allah Ki Shan Nahi Hey K Aye Aam Logon ! Tumhain Ilm E Ghaib Ata Kare , Haan Allah Chun Leta He Apnay Rasoolon Se Jisay Chahay.
( Al-Imran , Ayat 179 , Para 4 )
Al Quran :
Ghaib Ka Jannay Wala Apnay Ghaib Per Sirf Apnay Saoolon Hi Ko Agah Fermata He Her Ksi Ko Ye Ilm Nai Deta.
( Soora Jin , Para 29 , Ayat 26/27)
Al Quran : 
Or Ye Nabi Ghaib Batanay Main Bakhel Nahi.
( Soora Takweer , Para 30 , Ayat 24)
Al Quran :
Aye Mahboob Peace Be Upn Him Ye Ghaib Ki Khabren Hain Hum Tumharey Teref Wahi Kartay Hain.
( Soora Hood , Ayat 9 , Para 12)


Question : 


Answer :
Ahlesunnat Wal Jamat Ka Ye Aqeeda He K Allah Tala Ne Apnay Mahboob Peace Be Upon Him Or Anbya Kram Ko Ilm-E-Ghaib Ata Fermaya He, Ilm-E-Gaib Ka Matlab He Woh Baat Jo Sirf Allah Tala Janta Ho Phir Is Per Apnay Mahboob Bandon Ko Mutalla Kerde Is Se Murad Ainda Ke Halat Ki Khabren Dena Bhee He 
Al Quran :
Allah Ki Shan Nahi Hey K Aye Aam Logon ! Tumhain Ilm E Ghaib Ata Kare , Haan Allah Chun Leta He Apnay Rasoolon Se Jisay Chahay 
( Al-Imran , Ayat 179 , Para 4 ) 
Al Quran :
Ghaib Ka Jannay Wala Apnay Ghaib Per Sirf Apnay Saoolon Hi Ko Agah Fermata He Her Ksi Ko Ye Ilm Nai Deta
( Soora Jin , Para 29 , Ayat 26/27)
Al Quran :  
Or Ye Nabi Ghaib Batanay Main Bakhel Nahi .
( Soora Takweer , Para 30 , Ayat 24) 
Al Quran : Aye Mahboob Peace Be Upn Him Ye Ghaib Ki Khabren Hain Hum Tumharey Teref Wahi Kartay Hain
( Soora Hood , Ayat 9 , Para 12)



Question:


Ilme Ghaib Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Diya Gaya Ye Aqeeda Kya Sahaba Ka Tha, Agar Ap Isi Bat Ke Qayil Hai To Phir Jin Qurani Ayato Me Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Alimul Ghaib Nahone Ki Bat Hai, Aur Ilme Ghaib Allah Ki Khusoosiyat Me Se Bataya Gaya Un Ayaat Ka Kya Karenge? Masalan: Sura An'am 50, 59, Aaraf 188, Yunus 20, Hood 31, Namal 65, Etc. Albatta Mazi & Mustaqbal Ki Jo Khabar Apne Dee Wo Apko Wahi Ke Zariye Bataya Gaya Jo Ke Ilme Ghaib Na Rah Jiase Ye Ayaat:Aale Imran 44, Hood 49, Yusuf 102 Etc Pl. Zaroor Mere Bat Ka Jawab Dijeeye Warna Yaha Apne Apko Sunni Ka Dawa Karne Wale Kuch Log Mujhe Ye Dalayil Diye Hai, My Bhi Unko Sahi Jawab Quranosunnat Ki Roshne Me Dena Chahta Hoo.


Answer:


Nabi Kay Asal Means Gaib Ki Khabar Dainay Walay Kay Hain. Lehaza Har Nabi Gaib Ka Ilm Rakhta Hey Allah Ki Ata Say. 
Kon He Bewaqoof Yeah Kehta Hey Kay Wahi Ka Taaluk Gaib Kay Ilm Say Nahi Hey?


Al Quran:
"Aey Meray Mehboob! Yeah Gaib Ki Khabrain Hain Kay Jo Hum Tum Par Wahi Kartay Hain"

(Surah Al Imran Ayat 44 Parah 3)


Is Ayat Say Maloom Howa Wahi Bhi Ilm-E-Gaib Ki Ek Surat Hey.


Bad Mazhaboon Ki Daleel Ka Jawab=Baz Ayat Main Hey Kay Agar Mujhay Gaib Kai Kunjiyaan Mil Jati To Main Apnay Liye Kheer Jama Kar Laita Etc.


Jin Ayat Main Ilm-E-Gaib Ki Nafi Hey Un Ayat Kay Mutalik Mufasireen Farmatay Hain Kay. Un Ayat Say Muraad Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Zati Ilm-E-Gaib Ki Nafi Hey Yani Matlab Yeah Kay Main Zati Toor Par Koi Gaib Ka Ilm Nahi Rakhta Balkay Mujhay Mera Parwardigar Ilm-E-Gaib Ata Karta Hey.


Ahlsunnat Jamat Sunni Hanfi Barelvi Maslak Ka Yeah Aqida Hey Kay Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Tamam Anbiya-E-Karam Ko Allah Tallah Ki Ata Say Ilm-E-Gaib Hasil Hey.



Question :






Answer:


Hadith Sharif Puri Parh Lain Takay Apko Samjh Ajaye.


Hadith:


"Hazrat Ukba Bin Aamir Radi Allah Anhu Say Rivayat Hey Kay Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ek Din Bahir Niklay Aur Auhaad Main Shaheed Honay Waloon Par Namaz Parhi. Jaisa Kay Aap Mayaat Par Namaz Parhtay They Phir Aap Mimber Shareef Ki Taraf Wapis Tashreef Laye Aur Mimber Par Jalwa Afrooz Ho Kar Farmaya Main Tumharay Liye(Fart) Mukadma Hoon Aur Tum Par Gawa Hoon Aur Allah Ki Qasam Main Apnay Hoze-E-Kausar Ko Ab Bhi Dekh Raha Hoon Aur Mujhay  Zameen Kay Khazanoon Ki Ki Kunjiyaan De Gaye Hain Aur Beshaak Allah Ki Qasam Main Tum Par Shirk Ka Khouf Nahi Rakhta Laikin Mujhay Tum Par Yeah Khoof Hey Kay Tum Duniya Main Ragbaat Karnay Lag Jaogay"
(Bukhari Sharif Jild 1 Kitab Al Janaiz Hadith No 1285 Page No 545 Publish By Shabir Brother Lahore)


Zaid Bilkul Sahi Kehta Hey Is Hadith Say Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki 5 Azmatain Wazaye Hoti Hain.


Question:

Kia Ksi Ko Pta Chal Sekta Ha K Wo Is Elam K Kabel Ha B K Ni,Ma Ne Bht Koshish Kee Mager Nakaam Raha,Sochtha Hn K May B Ma Ye Na Ker Sekta Hn Means Kabel He Na Hon????,

Answer:

Ilm K Qabil Aur Naqabil Ki Koi Qaid Nahi Hoti Ilm Wo Khazana Hai Jisay Jitna Jo Hasil Karay Ga Usay Utna He Ilm Hasil Hoga.Ilm Allah Ta'ala Kay Fazal Say Hai Lihaza Rab-E-Kainat Jab Kisi Kay Sath Bhala'e Ka Irada Farmata Hai To Usay Deen Ka Ilm Aata Farmata Hai.

Monday, October 5, 2009

Aqaid-e-Ahle Sunnat

Question

Assalam-U-Alaikum Huzoor Huzoor 1 Suwaal Aur Hay Mayn Nay Perha Tha K Umme Haani Ka Ghar Ka'abah Sharif K Qareeba Tha. 1 Wahabi Ka Kehna Hay K Iss Hawalay Say Riwayaat Za'eef Hayn K Umm-E-Haani Ka Ghar Hateem Mayn Tha, Kyun Kay?

Sahih Bukhari Sharif , Kitaab Ansaar K Fazay'eel(58)

Key 1 Riwayat Hay Abbas Bin Malik Say, Malik Bin Sassa Kehtay Hayn Huzoor Nay Apni Mai'raaj Ka Waaqe'ah Bayan Farmaya "Jab Mayn Hateem Mayn Aaraam Farma Tha, Achanak Koi Meray Pass Aaya Aur Mujhay Yahan Say Yahan Tak Cheera". Huzoor Umme Haani K Ghar Say Mai'raj Key Riwayat Aur Yeh
Sahih Bukhari Sharif Key Riwayat Kon C Sahih Hay? Agar Donon Sahih Hayn Tou Tatbeeq Kiss Tarah Key Jaaye Gi? Kyun K Sahih Bukhari Sharif Key Riwayat Say Ma'aloom Hota Hay Huzoor Hateem Mayn Thay Lekin Umme Haani Radi Allahu Anha K Ghar Ka Zikr Nahin. Uss(Wahabi) Nay Saath He Yeh Bhi Likha Hay K Umme Haani Makkah Fath Honay K Ba'ad Musalmaan Huin Jab K Mai'raj Shareef Hijrat Say Pehlay Hui Thi . Huzoor Aap Chahayn Tou Mayn Link Bhi Day Doon Ga, Woh 1 Public Forum Hay, Um'meed Hay Meri Taraf Say Aap Ko Bad Gumaani Na Ho, Jazak Allahu Khairan Kaseera . Fi Aman Allah Assalam-U-Alaikum


Answer

Walikum AS Salam : Umme Hani Wali Riwayat Or Hateem Wali Riwayat Dono Sahi Hain Is Main Tatbeeq Ulma Or Muhadiseen Ne Yun Qayem Ki K Umme Hani Ka Makaan Hateem K Under Tha Lihaza Umme Hani Ke Makaan Main Hona Or Hateem K Under Hona Aik Hi Baat He , Umme Hani Choonkay Hazrat Ali Ki Bahan Thin Is Lye Huzoor Peace Be Upon Him Wahan Qayam Fermatey They.

Question

Assalam-U-Alaikum Huzoor Mai'raaj Sharif K Jismani Honay Per 1 Qadiyani K Ae'tiraazaat Hayn, Jawaab Irshaad Farmaeye?

1:  

Sahih Bukhari Sharif, Kitaab-Ut-Touheed(93)

Mayn 1 Hadees Sharik Bin Maalik Say Riwayat Hay Jiss Mayn Aakhir Mayn Likha Hay K "Aap Key Jab Aankh Khuli Tou Aap Masjid-E-Haraam Mayn Thay' Iss Per Qadiyani Ka Istadlaal Hay K Mai'raaj Sharif Jismaani Nahin Khuwaab Mayn Thi Ya'ani Roohani. Huzoor Iss Ka Aik Jawaab Bhi Dekha Mayn Nay, Peer Muhammad Karam Shah Al-Azhari Sahib Aleyh Rahmah Sahib-E-Tafseer Zia-Ul-Qura'an Nay Farmaya Hay K 'Sharik K Baaray Mayn Ulama Nay Farmaya Unn Ka Haafizah Kamzor Tha' Ab Suwaal Yeh Hay K Haafizah Kamzor Honay Say Kya Hadees Za'eef Hogi? Agar Hogi Tou Phir Za'eef Ahadees Bukhari Sharif Mayn Moujood Hayn? Doosra Yeh K Peer Sahib Nay Mazeed Yeh Likha Hay K Yeh Riwayat Doosray Raawiyon Say Bhi Marwi Hay Lekin Yeh Alfaaz Nahin Hayn Doosri Riwayaat Mayn, Jo K Ooper Mayn Nay Naql Keye.

2:

Doosra Istadlaal Uss Ka Sura'ah Najm Key Aayat #11 Say Hay K Jiss Ka Mafhoom Hay "Aur Dil Nay Na Jhutlaya Jo Dekha", Agar Cheh Yahan Dil Say Dekhnay Key Wazahat Nahin Lekin Uss K Iss Istadlaal Ka Radd K Say Kia Jaaye? Kya Sirf Itna Suboot Maangna K Saabit Kero Yahan Dil Say Dekhna Likha Hay Ya Matlab Hay, Kaafi Hoga? Jazak Allahu Khairan Kaseera . Fi Aman Allah Assalam-U-Alaikum 

Answer

Walikum As Salam : Jis Hadees Per Qadyani Eteraz Ker Rahay Hain Us Ka Hawala Bilkul Galat He Or Doosri Baat Is Hadees Se Meraj Nabi Ka Koi Taluq Nai Kyun K Khud Hazoor Peace Be Upon Him Ki Hadees Bukhari Shareef Main Darj He K Ap Umme Hani K Makaan Yani Hateem U Under Aram Ferma They Isi Tarah Siyaa Sattah Ki Kaye Ahadees Se Jismani Meraj Sabit He, Balkay Quran Majeed Se Jismani Meraj Sabit He.

Al-Quran :
 
"Paki He Is Se Jo Apnay Banday Ko Raton Raat Le Gaya Masjid E Haram Se Masjid E Aqsa Tuk Jis K Ird Gird Hum Ne Barkat Rakhi
( Soora Bani Israil , Ayat #1 Para 15)

Banda Jab Banta He Jab Rooh Or Jism Ikathaay Hon Quran Main Lafz Abda Ferma Kar Sarey Eteraz Rad Ker Dye K Meraj Roohani Nai Balkay Rooh Or Jism K Sath Thi."

Question

Answer

Quran Majeed Main Shuhada Ki Hayat Ka Ziker He Shuhada Bhee Allah K Wali Shumar Hotay Hain.

Alquran :

"Jo Khuda Ki Rah Main Mare Jayen Unhain Murda Na Kaho Balkay Woh Zinda Hain Haan Umhain Khaber Nahi"

( Soora Baqara , Ayat 154 , Para 2 )

Olya Allah Ki Rooh Wisaal K Baad Dubara Un K Ijsaam Main Lota Di Jati He Is Se Mutaliq Ulmaa Islaam Ke Aqwaal Mulahiza Hain Imam Mulla Ali Qari "Shara Mashko" Main Likhtay Hain Olya Allah Ki Hayat Wo Amlyat Dono Halton Main Koi Aslan Faraq Nahi , Islye Kaha Gaya He K Woh Martay Hain Balkay Aik Ger Se Doosrey Gher Tashreef Le Jatay Hain Qari Sana Ullah Pani Pti Apni Kitab Tazkara Almota Main Likhtay Hain Olya Allah Ka Farman He K Hamari Roohain Hamarey Jisam Main Hain In Ki Arwaah Jismon Ka Kaam Dya Karti Hain Imam Abi Dunya Ne Malik Se Riwayat Ki He K Olya Allah Ki Arwah Wisaal K Baad Jahan Chahti Hain Sair Karti Hain Haq Tala In K Jismo Ko Roohon Ki Quwat Ata Fermata He To Woh Qabron Main Namaz Ata Kertey Hain Or Quran Parhtay Hain "Kitaab Tazkaralmota , Fatawa Rizwiya"

Question

Answer

Gherallah Ko Allah Tala Ki Sifaat Ka Mazhar Jaan Ker Un Se Madad Mangna Najayez He , Quraan Majeed Main Kayee Maqamaat Per Anbyaa Kiram , Hazoor Peace Be Upon Him , Hazrat Jibreel , Malaika Or Olya Allah Ko Madadgaar Qarar Dya Gaya He.

Al-Quran :

"Beshak Allah Un Ka Madadgaar He Or Naik Iman Walay Or Is K Baad Farishtay Madad Per Hein"

( Soorah Marium , Ayat 4 , Para 28)

Al-Quran :

"Tumharey Madadgaar Nai Magar Allah Or Us Ka Rasool Or Iman Walay"

( Soorah Maida ,Ayat 55 , Para 6) 

Al-Quran :

"Aye Iman Walo ! Sabar Or Namaz Se Madad Chaho ( Soorah Baqra , Ayat 153 , Para 2 )"

Al Quran :

"Or Tumharey Pas Se Koi Himayati De Or Tumhain Apnay Pas Se Koi Madadgar De De".

( Soorah Nisa , Para 5 , Ayat 75) 

Riwayat :

"Hazrat Khalid Bin Waleed Ka Muqabla Jab Maslima Kazab Ki 60000 Afwaj Se Huwa To Us Waqt Musalman Kam Tadaad Main They Lihaza Musalmano Kay Qadam Ukharh Gaye Or Hazrat Khalid Bin Waleed Or Sahaba Karam Ne Nida Di " Ya Muhammada ( Aye Muhammad Peace Be Upon Him) Hamari Madad Fermayen " Ye Nida Dini Thi K Musalmano Ko Fatah Wa Nusrat Ata Huwe"

(Albidaya Wannihaaya , Page 364 , Jild 6 , Ibn E Aseer , Jild 3 , Tibri , Jild 3 , Page 250)

Maloom Huwa Ke Gher Allah Se Madad Mangna Jayez He , "Wahdatul Wajood Se Murad Rab Tala Ki Wahdanyat Or Us Ka Her Jaga Shahid Wa Mojood Hona He Ye Bohot Lambi Bahas He Jis K Lye Aap Ulmaa Ahlesunnat Ki Kitab Ka Mutala Karen "

Question

Answer

Saudi Apnay Ap Ko Hanbli Kahtay Hain Or Ye Tamam Log Firqa Wahabya Key Mojid Muhammad Abdul Wahab Najdi Key Perokar Hain Or Muhammad Bin Abdul Wahab Najdi Gumrah Or Be Din Tha , Us Key Nazdeek Hazoor Peace Be Upon Him Ki Tazeem Shirk , Milad Pak Ka Iniqaad Shirk , Mazaraat Per Hazri Shirk , Tamam Ahlesunnat Mushrik , Hazoor Peace Be Upon Him Ka Mazar Barha But Wagera Wagera Or Kayee Batil Nazryaat Ka Hamil Tha , Jo Is Ka Aqeeda Tha Wohi Aaj Saudi Al Maroof Wahab Najdyon Ka Hey

Question

Answer

Walikum Salam : Orton Ka Media Per Ana Mana He , Orat Se Matlab Chupanay Ki Cheez Lihaza Orat Ka Ghur Hi Main Rahay Or Apnay Bachon Ki Sahi Terbeat Kerna Lazmi He.

Hadees :

Huzoor Peace Be Upon Him Ne Irshad Fermaya -"Tum Main Se Jo Orat Apnay Gher Main Bethey Gi Usay Mujahideen Feesabeelillah Ka Darja Milega"
(Rooh Al Mani Ziaul Quran)

Jab Orat Tv Per Ati He To Usay Her Gher Mahram Mard Us Ko Dekhta He Or Sunta He. 


Hadees :

"Aik Din Hazoor Peace Be Upon Him Ne Apni Shahzadi Syeda Fatima Se Poocha Beti Bata K Orat K Lye Kya Bahter He : To Syeda Fatima Ne Arz Kya - Orat K Lye Ye Bahter He K Na Beganay Mard Ko Orat Dekhey Na Orat Ko Gher Mahram Mard Dekhey , Ye Sun Ker Barhey Khush Huwe Or Tahseen Fermay"

( Ahya Ul Uloom)

14 Sadee K Mujaddid Imaam Ahmed Raza Khaan Fermatay Hain K Orat Ki Awaz Bhee Orat He Usay Gher Mahram Mard Na Sunay , Orat Ki Awaz Char Deewari Se Bahar Nai Jani Chahye Algharz K Orat Bila Zarooret Ghur Se Na Niklay Or Tableeghey Deen Ka Kaam Ye Orton K Lye Nai He Ye Mard Ulma Ka Kaam He Lihaza Orat Tv Per Na Aye.

Question

Answer

Walikum AS Salam Sab Se Pahlay Wali Baat Ye He K Huzoor Peace Be Upn Him K Irshad K Mutabiq Ap Ko Ghustakho Ki Sohbat Se Bachnay Ka Hukum He Jo Dost Hazoor Peace Be Upon Him Ki Shan Main Bakwas Karen Ya Aqaid Ahlesunnat K Khilaf Baat Karen To Esey Doston Ki Sohbat Se Tanhai Achi He , Momin Woh He Jo Apni Jaan , Maal Olad Hatta K Doston Se Bhee Zyada Apnay Mahboob Peace Be Upon Him Se Muhabbat Kare Or Bad Mazhab Jahil Log Hain Un K Sawalat K Jawabaat Nai Deney Chahyen.

Question:

Kya qabar ko pukhta karna jaiz hey? Hazrat jabir radi allah anhu ne farmaya k allah kay rasool salllaho alehay wasalam ne qabro ko pukhta kernay aur usper mujawar ban ker bethney or usper imarat tameer kernay se manaa farmaya hey(sahi muslim kitabul janaez hadith no 970)

Answer:


Buzurgoon Ki Kabroon Ko Pukhta Karnay Main Harj Nahi Hey. Iska Saboot Mandarja Bala Ayat Say Milta Hey Quran

Majeed Nay Ashabe-E-Khaf Ka Kisa Bayan Farmtay Howay Kaha.

Al Quran:

"Woh Bolay Is Kam Main Galib Rahay Tu In Ashab-E-Khaf Par Masjid Banaye Gay".


(Surah Kahaf Ayat 21 Para 15)

Taseer-E-Rohal Bayan Main Allama Ismail Haki Alehay Rehma Nay Is Ayat Ki Tafseer Main Farmay.

Inhonay Kaha Ashabe Kahaf Par Aisi Dewar Banao Jo In Ki Kabar Ko Gheray Aur Inkay Mazarat Kay Janay Par Mehfooz

Ho Jaway Jaisay Kay Huzoor Sallall Laho Alehay Wasalam Ki Kabar Sharif Char Dewar Say Gheer Di Gaye Hey Magar

Yeah Baat Manzoor Na Howi Tab Masjid Banaye Gaye.

"Masjid"

Ki Tafseer Main Tafseer Rohal Bayan Main Hey Kay

"Log Is Main Namaz Parhain Aur In Say Barkat Lain"

Quran Majeed Nay In Dunoon Batoon Ka Zikar Farmaya Ek To Ashabe Kahaf Kay Gird Kuba Aur Makbara Bananay Ka

Mashwara Karna Dusra In Kay Kareeb Masjid Banana Is Waqt Bhi Jaiz Tha Aur Ab Bhi Jaiz Hey Agar Galat Hotay Tu

Quran Kabhi Is Ka Hukum Nahin Daita Mazarat-E-Auliya Shahair Allah Aur Issay Barkatain Hasil Karna Aur Iski Tamir

Quran Say Sabit Hey.

Jahan Tak Hadith Sharif Ka Tauluk Hey To Woh Aam Admiyooon Kay Kabar Ko Pukhta Aur Paki Bananay Say Manah Kiya

Hey.

Zaroori Masla:

Agar Barish Main Dhans Janay Aur Kabar Khul Janay Ka Khadsah Ho To Hifazat Kay Liye Upar Say Paki
Karnay Main Koi Haraj Nahi.

Question:

Hadith La tajalo buyutakum quburan. wala tajalo qabri eidan. wa sallo allaiya fa inna salawatakum tuballaghani haisukumtum(mishkath page 86) URDU: apnay gharoon ko qabrain na banao aur meri qabar ko eid mela na banalaina. aur mujh per durood shareef parha karo kyun kay tum jaha say bhi durood parho woh muhya puhancha diya jat hey

Answer:



Apnay Gharoon Ko Kabrasta Na Banao Say Murad Yeah Hey Kay Apnay Gharoon Main Bhi Ibadat Kiya Karo. Aur Mer Kabar Ko Eid Ki Tarhan Na Banalaina Say Murad Yeah Hey Kay Meir Kabar Par Eid Ki Tarhan Saal Main Sirf 


1 Ya 2 Martaba Anay Ki Koshish Na Karna Balkay Aksar Aur Baishtar Atay Rehana Kyon Kay Makhlook Main Mujha Sya Barh Kar Tumhara Khair Kuwah Koon Hey. Meray Pass Atay Rahogay Tu Tumhar Shikasta Aur Gamgheen Diloon Ko Mussaraat Aur Shadmani Ki Dulat Milti Raheygi. Naiz Meri Kabar Ko Eid Ki Tarhaan Izhar-E-Mussarrat Ki Jaga Na Bana Liana Kyunkay Main Jis Jaga Jalwa Afroze Hota Hoon Woh Tamasha Gah Nahi Hey Balkay Arsh-E-Astaan Aur Kibla-E-Deen Wah Emaan Ban Jatihey. Puri Kainaat Ki Nighaain Udhar Uthnay Lagti Hain Lihaza Meri Kabar Ko Eid Ki Tarhan Na Bana Laina.


Is Hadith Say Kahin Say Bhi Yeah Sabit Nahi Hota Kay Eid Milad Un Nabi Sallal Laho Alehay Waslam Ko Eid Kaha Jaye Balkay Juma Kay Din Ko Hadith Main Eid Say Bhi Afzal Karar Diya.


Hadith Sharif:


Huzoor Sallal Laho Alehay Waslam Nay Irshaad Farmaya;


"Juma Tamam Ayaam Ka Sardar Aur Allah Kay Nazdeek Tamaam Ayam Say Ziyada Sharf Wah Madaah Ka Hamil Hey Iska Darja Allah Kay Nazdeek Eid Ul Fitaar Aur Eid Ul Azha Say Barh Kar Hey. Is Main 5 Batain Khas Yeah Hain Allah Talah Nay Adam Alehay Salam Ko Wafaat Di Isi Din Allah Tallah Nay Hazrat Adam Alehay Salam Koi Zameen Par Utara. Usi Din Main Ek Ghari Hey Kay Is Waqat Main Banda Allah Say Jo Bhi Mangta Hey Allah Isay Ata Farmata Hey Bashart Yeah Kay Haram Ka Sawal Na Ho Aur Is Rooz Qayamat Kaim Hogi, Har Magrib Farishta Zameen Wah Asmaan Hawain Pahaar Aur Darriya Yeah Sab Chezain Qayamat Kay Kuhoofsay Jumay Ki Din Sara Seema Hoti Hain"


(Sunan-E-Ibne Maja Jild Awal Babe Fi Fazlil Juma Rakam Alhadith 1132 Page 313 Matbuah Fareed Book Lahore)


Faida:


Maloom Howa Jis Din Hazrat Adam Alehay Salam Ki Wiladaat  Wah Wafaat Ho Woh Din Eid Say Bhi Afazal Ho Tu Jis Din Sardar-E-Anbiya Janab Imam Ul Anbiya Sallal Laho Alehay Waslam Is Duniya Main Tashreef Laye Woh Din Eid Yah Eid Say Barh Kar Kyon Na Hoo. Yaad Rahay Ki Eid Ka Lugwi Means Khushi Wala Din Kay Hain Zarori Nahi Kay Sirf Eid Ul Fitar Ya Eid Ul Azha Hi Eid Kay Din Hain.


Question:

ASSALAM-U-ALAIKUM ALLAMA SAHAB HUZOOR ELM-E-GHEB, HAAZIR-O-NAAZIR waghera masay'eel say HUZOOR ALEYHIS SALATO WAS SALAM key FAZEELAT Saabit hoti hay. Agar koi shakhs yeh kahay k inn mayn say ba'az ka inkaar kyun k kufr nahin tou innhayn bayan kernay key kya zarurat ? tou uss shakhs ko kya jawaab diya jaaye? JAZAK ALLAHU KHAIRAN KASEERA. FI AMAN ALLAH ASSALAM-U-ALAIKUM.

Answer:



Janab-E-Rasool-E-Karim Sallal Laho Alehay Waslam Ki Shaan Main Jo Ahadith Mojuud Hain Un Tamam Par Hamar Emaan 


Hona Chaye Kyunkay Is Baat Par Ijma-E-Ummat Hey Kay Jo Shaks Quran Ka Inkaar Kary Woh Kafir Hey Aur Jo Hadith Ka 


Inkaar Karay Woh Gumrah Hey. Agar Koi Shaks Hadith Main Un Hadtih Ko Nahi Manta Tu Aisay Shaks Gumrah Hey Aur 


Dusri Baat Yeah  Bhi Maloom Howi Kay Jo Hadith Shan-E-Risaalat Maab Sallal Laho Alehay Waslam Main Hain Unka 


Unkar Yaqenaan Bugz-E-Rasool Sallal Laho Alehay Waslam Ki Waja Say Karega Warna Haqeqi Ummati Apnay Nabi 


Sallal Laho Alehay Waslam Ki Shaan Ka Inkar Nahi Balkay Unki Shaan Ko Maanta Hey Aur Shaan-E- Risaalat Sallal Laho 


Alehay Waslam Main Hadith Ka Parchar Karta Hey.





Question :


kia islam ny wajad ki kaifiat ejazat fermai hy thos subot sy jwab dain .kia sehaba ko be wajad hota tha hadith bain kerin shukeria ! is swal ka jwab apko nai at tum sary molvi farigh ho koi ilm twano.




Answer :


Wajad Kay Baray Main Imam Gazali Alehay Rehma Nay Apni Kitab Ahya Ul Uloom 2 Jild Main Farmtay Hain Kay Takaluf Say Wajad Tari Karna Uski Ek Kisaam Tu Mazmoom Hey Kay Jis Main Dekhaway Ka Irada Kiya Jaye. Jaiz Kisam Yeah Hey Kay Dekahwa Na Hoo Aur Sharifa Halaat Kay Chahnay Inkay Iktisaab Aur Husool Ka Hela Sazi Say Zariya Banaya Jaye.


Ab 2 Hadith Mulhiza Hoon:


Hadith:


"Rasool-E-Karim Sallal Laho Alehay Waslam Nay Jab Hazrat Jaffar Bin Abhi Talib Radi Allah Anhu Say Irshaad Farmay Kay Tum Surat Aur Seraat Main Meray Mushahiba Hoo Aur Ek Riwayat Main Yeah Irshaad Aya Hey Kay Jaffar Sab Logoon Say Surat Aur Seerat Main Meray Sath Sab Say Ziyada Mushahiba Hey (Yeah Sun Kar) Hazrat Jaffar Radi Allah Ek Paoon(Foot) Par Chalay Yani Means Rakas Kiya(Yani Aapko Wajad Agaya)


(Fatawa Kehriya Kitabul Karhita Wala Satahsaan)
(Darul Marfa Beroot Jild 2 Page 182)


Hadith:


"Rasool-E-Karim Sallal Laho Alehay Waslam Nay Hazrat Zaid Radi Allah Anhu Say Irshad Farmay Tum Hamary Mola Ho Tu Hazrat Zaid Radi Allah Anhu Khushi Aur Musarrat Say Wajad Main Agaye Is Toor Par Kay Ek Paoon Uthtatay Aur Dosray Par Nachtay"
(Alnihaya Ul Ibne Al Aseer Babul Hama Al Jaheem Tehat Lafaz "Jahal" Al Maktaba Al Islamiya 346/1)


Riya Kari Na Ho Niyaat Khalis Ho Tu Wajad Karnay,Johmnay Aur Larkharanay Main Koi Mufahika Nahi. Iski Tafseel Parhni Ho Tu Fatawa Rizwiya Jadeed 22 Jild Page No 555 Par Mulahiza Farmain.




Question:


Assalam-U-Alaikum Huzoor Irshaad Farmayen, Kya Yeh Hadees Muztarib Hay? Kyun K Issi Tarah Key Taqreeban 3/4 Ahadees Hayn, Hawalah Aakhir Mayn Darj Hay . Mayn Iss Hadees Ko Sunni Aqeedah Saabit Kernay K Leye Sms K Tour Per Send Kerna Chaah Raha Hoon, Tou Agar Iss Key Sehat Per Koi Kalaam Nahin Ho Sakta Tou Irshaad Farmayen, Jazak Allah. "Sahabi Ka Huzoor Key Panaah Talab Kerna: Hazrat Abu Mas'ud Radi Allahu Anhu Bayan Karte Hayn K Woh Apne Ghulam Ko Maar Rahe Thay, Ghulam Ne Kaha "Allah Ki Panaah", Woh Aur Maarne Lage, Uss Ne Kaha "Rasool Key Panaah" Tou Unnhon Ne Uss Ko Chour Diya. Rasool Ullah Sal Lallahu Alayhe Wasallam Ne Farmaya "Ba Khuda! Allah Ta'ala Tum Per Iss Say Ziyadah Qaadir Hay Jitna Tum Iss Per Qaadir Ho." Hazrat Abu Mas'ud Kehte Hayn K Phir Unnhoun Nay Uss Ko Aazaad Ker Diya. (Sahih Muslim, Kitaab-Ul-Aimaan, Baab: Ghulaamoun K Saath Bartaao) Iss Hadees Sharif Ka Mafhoom Bhi Sumjha Dayn K Ba'az Logon K Zehan Mayn Suwaal Peda Ho Sakta Hay K Sahabi Radi Allahu Anhu Nay "Allah Key Panaah" Per Na Choura Aur Huzoor Key Panaah Per Chour Diya, Aur Yeh K Unn Ghulam Ko Sahabi Likha Hay, Kya Yeh Sahih Hay? Jazak Allah.


Answer :


Kitab Ul Emaan Main Hamian Yeah Hadith Nahi Mili. Muslim Ki Jidl Aur Hadith No Dain. Takay Apko Jawab Diya Ja Sakay.


Question:

ASSALAM-U-ALAIKUM HUZOOR Irshaad farmaeye, ULAMA FARMATAY hayn k WASEELAH BARAY tak ponhchnay k leye isti'maal kia jata hay, BARAY ka nahin. Lekin SHAJRAY jo hotay hayn, UNN mayn dekha gaya hay k ALLAH ka WASTA diya gaya hota hay, kya WASTA aur WASEELAH alag cheezayn hayn? JAZAK ALLAH. FI AMAN ALLAH ASSALAM-U-ALAIKUM

Answer:

Waseela Aur Waasta Do(2) Alag Alag Cheezain Hain Kisi Baray Tak Pohnchnay Kay Lyay Waseela Paish Kya Jata Hai Aur Kisi Chotay Say Kam Karwany Kay Lyay Is Kay Baray Ka Waasta Dya Jata Hai Jis Say Wo Muhabaat Karta Hai Maslan Ya Allah Jala Jalalu Hu Hum Teray Habib Salalaho Aleh-E-Waslam Ka Waseela Teri Bargah Main Paish Katay Hain Hamari Falanh Dua Qabool Farma.(Is Dua May Baray Ki Bargah May Chotay Ka Waseela P[Aish Kya Gaya). Is Tarahn Rasool Karim Salalaho Aleh-E-Waslam Say Kuch Talab Karnay K Liye Un Kay Baray Means Khuda-E-Rehman Ka Waasta Dya Jata Hai K Ya Rasool Karim Salalaho Aleh-E-Waslam! Hum Par Reham Farmaeyay Khuda Tala K Wastay.



Question:

ASSALAM-U-ALAIKUM HUZOOR Irshaad farmayen, kya yeh HADEES SHARIF hay? "Sab say bara Jihaad kufr say larna nahin, balkeh apnay nafs say larna hay" ya yeh kissi ka qoul hay? JAZAK ALLAH.
Answer:

Jee Han Yay Hadith Hai K Sub Say Bara Jihad Nafs Kay Khilaf Hai Kyun Kay Kufr K Khilaf Jihad Kaafi Arsy Kay Baad Kya Jata Hai Magar Nafs Kay Khilaf Jihad Har Lamha Jaari Rehta Hai Kufr Say Lartay Howay Chan Ghanton May Admi Shaheed Ho Jata Hai Magr Nafs K Khilaf Lara'e Puri Zindagi Jaari Rehti Hai.